Daily Calendar Hadiths - 06 May 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Kisi musalmaan ke liye jaaiz nahin hai ke apne bhai se teen din se zyaada bol chaal band rakhe”.*[Book of Abu Daawood, 4915]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aur gareebi ki wajah se apne bacchon ko qatl na Karo, hum tumhein bhi rizq deinge aur un ko bhi”.* [Quran, Chapter/Surah Ana'am: Verse/Ayat no. 151]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:*“Tum ( aurtein) apne gharon mein qaraar ke sath raho aur (gair mardon ko)banaao singhaar dikhaati na phiro,jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha”.* [Quran, Chapter/Surah Ahzaab: Verse/Ayat no. 33]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Logon mein Allah Ta'ala ke sab se ziyaada qareeb woh shakhs hai,jo pehle salaam kare”.* [Book of Abu Daawoodh, 5197]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:*“Jab tumhein koi shakhs salaam kare to tum us se bhi behtar tareeqe par salaam karo (jawaab do)ya (Kam az Kam) un hi alfaaz mein us ka jawaab de do”.*  [Quran, Chapter/Surah Nisa: Verse/Ayat no. 86]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua