Daily Calendar Hadiths - 04 May 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Do aadmiyon ke darmiyaan insaaf kar dena bhi sadqa hai”.* [Book of Bukhari, 2989]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Qayaamat us waqt tak nahein aayegi, jab tak ke log oonchi oonchi imaaratein banaane mein aapas mein fakhr na karne lagein”.* [Book of Musnade Ahmad, 10858]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne Aaisha Radi allahu anhu se farmaya: *“Narmi ikhatiyaar karo, sakhti aur bad zabaani se apne aap ko bachaao”.* [Book of Bukhari, 6030]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Ahad (wa'ade) ko poora Karo, ahad (wa'ade) ke baare mein (tum se) poocha jaayega".* [Quran, Surah-e-Bani-Israeel; Verse/Ayat-34]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *Jis ne dhaardaar cheez se khudkushi ki hogi, to us ke haath mein woh cheez hogi aur woh Jahannam mein hamesha hamesha use apne pet mein ghonpta rahega”.* [Book of Bukhari,5778]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua