Daily Calendar - Quran & Hadith - 31.Dec.2021

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye Insaano aur Jinnato! Tum apne Rab ki kin kin ne'amaton ko jhutlaaoge?”.* [Quran: Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 34]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aapas mein ek doosre ka maal naahaq tareeqon se na khaao”.* [Quran: Chapter/Surah-e-Baqara: Verse/Ayat no. 188]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par bohtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain”.* [Book of Musnad-e-Ahmad: Hadees No. 17483]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Mere baad Mujhe tum logon ke baare mein jis cheez ka sab se ziyaada dar hai, woh duniya ka banaao singaar hai, jo tum par khol diya jaayega”.* [Book of Bukhaari, 1465]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Beshak shaitaan tumhaara dushman hai, to tum bhi use dushman hi samjho”.* [Quran: Chapter/Surah-e-Faatir: Verse/Ayat no. 6]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot

*WhatsApp Groups*

*Telegram Channel:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua