Daily Calendar Hadiths - 28 April

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar aadmi ke paas do jungle maal ke ho jaayen, to teesre ki talaash karega, insaan ka pet qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.* [Book of Bukhari: Hadees No. 6436]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Haq baat na maanna aur logon ko haqeer samajhna takabbur hai”.* [Book of Sho’abul Imaan, 8152]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo koi apne gulaam (naukar wagaira) ko zulman maarega, qayaamat ke din maalik se badla liya jaayega”.* [Book of Musnade Bazzaar, 1399]


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaayi ki ummeed karein aur hs ke shar (takleef) se mehfooz ho”.* [Book of Tirmizi, 2263]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Koi mard kisi ajnabi aurat ke saath tanhaai mein na baithhe warna un mein teesra shaitaan hota hai”.* [Book of Tirmizi, 2165]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua