Daily Calendar Hadiths - 30 October 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Musibaton par sabr karne waalon ko beshumaar badla diya jaayega”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Zumar, Verse/Ayat no. 10]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Jab tum gharon mein daakhil ho, to apne logon ko salaam kiya karo ke yeh mulaqaat ki woh baabarkat paakeeza dua hai jo Allah ki taraf se aayi hai”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Noor, Verse/Ayat no. 61]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta’ala ne 3 aadmiyon par Jannat haraam kardi hai: (1) Sharaab peene waala, (2) Maan baap ka naafarmaan, (3) Dayyus jo apni biwi ki braai par raazi ho”.*  [Book of Musnade Ahmed, 5372]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo aadmi humesha sach bolta hai aur sach bolna us ki aadat ban jaati hai, to Allah ke nazdeek Siddique (Sachcha) likh diya jaata hai”.* [Book of Sahih Muslim, Hadees No. 2607]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Qarz ki adaaigi par qudrat ke baawajood taal matol karna zulm hai”.* [Book of Muslim, Hadees No.4085]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot 

*WhatsApp Groups*

*BlogSpot:*

*Telegram:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua