Daily Calendar Hadiths - 28 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Dunyaawi zindagi to kuchh bhi nahi, sirf dhoke ka saamaan hai".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Aal-e-Imran: Verse/Ayat no. 185]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho, to use chaahiye ke rishtedaaron ke saath achchha sulook kare”.* [Book of Bukhari, 6138]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) jab bachchon ke paas se guzarte to khud un bachchon ko salaam kiya karte the”.* [Book of Tirmizi, 2696]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Paak (saaf) rehna aadha Imaan hai”.* [Book of Muslim, 556]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum paani choos choos kar piyo aur gataagat na piyo, is ki wajah se jigar ki beemaari hoti hai”.* [Book of Sho'bul Imaan, 6012]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua