Daily Calendar Hadiths - 22 July 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jhoothi qasam kha kar maal to bik jaaye ga, lekin tijaarat se barkat uth jaayegi”.* [Book of Bukhari, 2082]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Aapas mein ikhtilaaf mat karo, warna tumhaare dil mukhtalif ho jaayeinge”.* [Book of Abu Dawood, 675]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Jo log apne maal Allah ke raaste mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan jatlaate hain aur na koi takleef pohnchaate hain, woh apne parwardigaar ke paas apna sawaab paayenge".* [Quran: Chapter/ Surah-e- Baqarah: Verse/Ayat no. 262]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Ek din-o-raat mehmaan ki khidmat us ka jaaiz haq hai aur us ki da'awat-e-mehmaan nawaazi teen din hai, us ke baad ki mezbaani us ke liye sadqa hai aur mehmaan ke liye ziyaada din thehar kar mezbaan ko tangi mein mubtela karna jaaiz nahi hai”.* [Book of Bukhari, 6135]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis se kisi muaamle mein mashwarah kiya jaaye, woh us mein ameen (amaanatdaar) hai, (lihaaza amaanat-daari ke saath mashwarah do) ”.* [Book of Tirmizi, 2822]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot
*WhatsApp Groups*
https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_
*Telegram Channel:*
► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•