Daily Calendar Hadiths - 18 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Tum sab ke sab Allah Ta'ala se tauba kar lo, taake tum kaamyaab ho jaao".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Noor, Verse/Ayat no. 35]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Khushdili bhi Allah Ta'ala ki ne'maton mein se hai”.* [Book of Ibne Maaja, 2141]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Aapas mein ehsaan karna mat bhoolo, jo amal bhi tum kar rahe ho, Allah yaqeenan use dekh raha hai".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Baqarah : Verse/Ayat no. 237]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“(Kisi ka haq na roko) suyi aur dhaaga (bhi) ada kar do aur khayaanat (betrayal) se bachte raho, kyun ke khayaanat karna qayaamat ke din zillat wa ruswaayi ka sabab hai”.* [Book of Musnad-e-Ahmed, 22714]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum achchhi tarah baat karne aur khaana khilaane ko laazim pakdo, tumhaare liye Jannat waajib ho jaayegi”.* [Book of Mustadrak, 61]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab