Daily Calendar Hadiths - 16 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Jis tarah Allah Ta'ala ne tumhaare saath ehsaan ka maamla kiya hai, tum bhi logon ke saath ehsaan ka maamla karo".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Qasas: Verse/Ayat no. 77]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs tumhaare saath Khayaanat (Dhoke ka muaamla) kare, to tum us ke saath Khayaanat na karo”.* [Book of Sunan Abu Dawud: 3535]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab teen aadmi ek saath hon to do aadmi chupke chupke baat na karein, kyun ke is se teesre saathi ko takleef hogi”.* [Book of Ibne Maaja, 3775]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta'ala ko 3 cheezein pasand nahi hain : (1) (Be faaida) idhar udhar ki baat karna (2) Maal ko barbaad karna (3) Ziyaada sawaalaat karna”.* [Book of Bukhari, 1477]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“(Logon ke saath) neki karo, beshak Allah neki karne waalon se muhabbat karta hai".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 195]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab