Daily Calendar Hadiths - 14 July 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne teen cheezon ki wasiyat farmayi: Har maah ke 3 din (Ayyame Bees 13,14,15) ke roze, Chasht ki namaz aur Witr padh kar sona.* [Book of Bukhari, 1178]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Aap mere bandon se keh dijiye ke wahi baat kaha karein jo behtareen ho".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Bani israel: Verse/Ayat no. 53]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Haakimon ke paas maalon ka muqaddama is garz se na le jaao ke logon ke maal ka koi hissa jaante boojhte hadap karne ka gunaah karo".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 188]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Beshak yeh Qur'aan woh raasta dikhaata hai jo sab se ziyaada seedha hai".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Bani israel: Verse/Ayat no. 09]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Qasmon ko pukhta karne ke baad unhein mat todo".* [Quran, Chapter/ Surah Nahl: Verse/Ayat no. 91]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab