Daily Calendar Hadiths - 20 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Jo log zameen mein fasaad machaate hain wahi log nuqsaan uthaane waale hain".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 27]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah ne jo kuch tumhaari qismat mein likh diya hai, us par raazi raho, sab se bade gani (be niyaaz) ban jaaoge”.* [Book of Tirmizi, 2305]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne Hasab-o-Nasab ko seekho (rishtedaaron ko jaano), taake tum un ke saath sila rahmi kar sako, is liye ke sila rahmi karne se rishtedaaron mein mubabbat, maal mein wus'at aur umr mein izaafa hota hai”.* [Book of Tirmizi, 1979]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Allah Ta'ala tawakkul (bharosa) karne waalon se mohabbat karte hain".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Aala Imran: Verse/Ayat no. 159]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Ek saath khaana khaao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhaare liye barkat hogi”.* [Book of Abu Dawood, 3764]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab